ai mohabbat tere anjam pe rona aaya
SHAKEEL BADAYUNI
ai mohabbat tire anjām pe ronā aayā
jaane kyuuñ aaj tire naam pe ronā aayā
yuuñ to har shaam umīdoñ meñ guzar jaatī hai
aaj kuchh baat hai jo shaam pe ronā aayā
kabhī taqdīr kā mātam kabhī duniyā kā gila
manzil-e-ishq meñ har gaam pe ronā aayā
mujh pe hī ḳhatm huā silsila-e-nauhagarī
is qadar gardish-e-ayyām pe ronā aayā
jab huā zikr zamāne meñ mohabbat kā ‘shakīl’
mujh ko apne dil-e-nākām pe ronā aayā