ab ke hum bichhDe to shayad kabhi KHwabon mein milen AHMAD FARAZ  
ab ke hum bichhDe to shayad kabhi KHwabon mein milen AHMAD FARAZ  

ab ke hum bichhDe to shayad kabhi KHwabon mein milen AHMAD FARAZ  

ab ke hum bichhDe to shayad kabhi KHwabon mein milen
AHMAD FARAZ
 

ab ke ham bichhḌe to shāyad kabhī ḳhvāboñ meñ mileñ

jis tarah sūkhe hue phuul kitāboñ meñ mileñ

DhūñDh ujḌe hue logoñ meñ vafā ke motī

ye ḳhazāne tujhe mumkin hai ḳharāboñ meñ mileñ

ġham-e-duniyā bhī ġham-e-yār meñ shāmil kar lo

nashsha baḌhtā hai sharābeñ jo sharāboñ meñ mileñ

tū ḳhudā hai na mirā ishq farishtoñ jaisā

donoñ insāñ haiñ to kyuuñ itne hijāboñ meñ mileñ

aaj ham daar pe khīñche ga.e jin bātoñ par

kyā ajab kal vo zamāne ko nisāboñ meñ mileñ

ab na vo maiñ na vo tū hai na vo maazī hai ‘farāz’

jaise do shaḳhs tamannā ke sarāboñ meñ mileñ

Leave a Reply