koi ummid bar nahin aati
MIRZA GHALIB
koī ummīd bar nahīñ aatī
koī sūrat nazar nahīñ aatī
maut kā ek din muayyan hai
niind kyuuñ raat bhar nahīñ aatī
aage aatī thī hāl-e-dil pe hañsī
ab kisī baat par nahīñ aatī
jāntā huuñ savāb-e-tā.at-o-zohd
par tabī.at idhar nahīñ aatī
hai kuchh aisī hī baat jo chup huuñ
varna kyā baat kar nahīñ aatī
kyuuñ na chīḳhūñ ki yaad karte haiñ
merī āvāz gar nahīñ aatī
dāġh-e-dil gar nazar nahīñ aatā
bū bhī ai chārā-gar nahīñ aatī
ham vahāñ haiñ jahāñ se ham ko bhī
kuchh hamārī ḳhabar nahīñ aatī
marte haiñ aarzū meñ marne kī
maut aatī hai par nahīñ aatī
kā’ba kis muñh se jāoge ‘ġhālib’
sharm tum ko magar nahīñ aatī