hazaron KHwahishen aisi ki har KHwahish pe dam nikle
MIRZA GHALIB
hazāroñ ḳhvāhisheñ aisī ki har ḳhvāhish pe dam nikle
bahut nikle mire armān lekin phir bhī kam nikle
Dare kyuuñ merā qātil kyā rahegā us kī gardan par
vo ḳhuuñ jo chashm-e-tar se umr bhar yuuñ dam-ba-dam nikle
nikalnā ḳhuld se aadam kā sunte aa.e haiñ lekin
bahut be-ābrū ho kar tire kūche se ham nikle
bharam khul jaa.e zālim tere qāmat kī darāzī kā
agar is turra-e-pur-pech-o-ḳham kā pech-o-ḳham nikle
magar likhvā.e koī us ko ḳhat to ham se likhvā.e
huī sub.h aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle
huī is daur meñ mansūb mujh se bāda-āshāmī
phir aayā vo zamāna jo jahāñ meñ jām-e-jam nikle
huī jin se tavaqqo’ ḳhastagī kī daad paane kī
vo ham se bhī ziyāda ḳhasta-e-teġh-e-sitam nikle
mohabbat meñ nahīñ hai farq jiine aur marne kā
usī ko dekh kar jiite haiñ jis kāfir pe dam nikle
kahāñ mai-ḳhāne kā darvāza ‘ġhālib’ aur kahāñ vaa.iz
par itnā jānte haiñ kal vo jaatā thā ki ham nikle