kal chaudhwin ki raat thi shab bhar raha charcha tera
IBN E INSHA
kal chaudhvīñ kī raat thī shab bhar rahā charchā tirā
kuchh ne kahā ye chāñd hai kuchh ne kahā chehrā tirā
ham bhī vahīñ maujūd the ham se bhī sab pūchhā kiye
ham hañs diye ham chup rahe manzūr thā parda tirā
is shahr meñ kis se mileñ ham se to chhūTīñ mahfileñ
har shaḳhs terā naam le har shaḳhs dīvānā tirā
kūche ko tere chhoḌ kar jogī hī ban jaa.eñ magar
jangal tire parbat tire bastī tirī sahrā tirā
ham aur rasm-e-bandagī āshuftagī uftādgī
ehsān hai kyā kyā tirā ai husn-e-be-parvā tirā
do ashk jaane kis liye palkoñ pe aa kar Tik ga.e
altāf kī bārish tirī ikrām kā dariyā tirā
ai be-dareġh o be-amāñ ham ne kabhī kī hai fuġhāñ
ham ko tirī vahshat sahī ham ko sahī saudā tirā
ham par ye saḳhtī kī nazar ham haiñ faqīr-e-rehguzar
rasta kabhī rokā tirā dāman kabhī thāmā tirā
haañ haañ tirī sūrat hasīñ lekin tū aisā bhī nahīñ
ik shaḳhs ke ash.ār se shohra huā kyā kyā tirā
bedard sunñī ho to chal kahtā hai kyā achchhī ġhazal
āshiq tirā rusvā tirā shā.ir tirā ‘inshā’ tirā