kuchh to hawa bhi sard thi kuchh tha tera KHayal bhi
PARVEEN SHAKIR
kuchh to havā bhī sard thī kuchh thā tirā ḳhayāl bhī
dil ko ḳhushī ke saath saath hotā rahā malāl bhī
baat vo aadhī raat kī raat vo puure chāñd kī
chāñd bhī ain chait kā us pe tirā jamāl bhī
sab se nazar bachā ke vo mujh ko kuchh aise dekhtā
ek dafa to ruk ga.ī gardish-e-māh-o-sāl bhī
dil to chamak sakegā kyā phir bhī tarāsh ke dekh leñ
shīsha-girān-e-shahr ke haath kā ye kamāl bhī
us ko na pā sake the jab dil kā ajiib haal thā
ab jo palaT ke dekhiye baat thī kuchh muhāl bhī
merī talab thā ek shaḳhs vo jo nahīñ milā to phir
haath duā se yuuñ girā bhuul gayā savāl bhī
us kī suḳhan-tarāziyāñ mere liye bhī Dhaal thiiñ
us kī hañsī meñ chhup gayā apne ġhamoñ kā haal bhī
gaah qarīb-e-shāh-rag gaah ba.īd-e-vahm-o-ḳhvāb
us kī rafāqatoñ meñ raat hijr bhī thā visāl bhī
us ke hī bāzuoñ meñ aur us ko hī sochte rahe
jism kī ḳhvāhishoñ pe the ruuh ke aur jaal bhī
shaam kī nā-samajh havā pūchh rahī hai ik patā
mauj-e-havā-e-kū-e-yār kuchh to mirā ḳhayāl bhī