mohabbat karne wale kam na honge
HAFEEZ HOSHIARPURI
mohabbat karne vaale kam na hoñge
tirī mahfil meñ lekin ham na hoñge
maiñ aksar sochtā huuñ phuul kab tak
sharīk-e-girya-e-shabnam na hoñge
zarā der-āshnā chashm-e-karam hai
sitam hī ishq meñ paiham na hoñge
diloñ kī uljhaneñ baḌhtī raheñgī
agar kuchh mashvare bāham na hoñge
zamāne bhar ke ġham yā ik tirā ġham
ye ġham hogā to kitne ġham na hoñge
kahūñ bedard kyuuñ ahl-e-jahāñ ko
vo mere haal se mahram na hoñge
hamāre dil meñ sail-e-girya hogā
agar bā-dīda-e-pur-nam na hoñge
agar tū ittifāqan mil bhī jaa.e
tirī furqat ke sadme kam na hoñge
‘hafīz’ un se maiñ jitnā bad-gumāñ huuñ
vo mujh se us qadar barham na hoñge