na kisi ki aankh ka nur hun na kisi ke dil ka qarar hun MUZTAR KHAIRABADI    

na kisi ki aankh ka nur hun na kisi ke dil ka qarar hun
MUZTAR KHAIRABADI
 
 

na kisī kī aañkh kā nuur huuñ na kisī ke dil kā qarār huuñ

kisī kaam meñ jo na aa sake maiñ vo ek musht-e-ġhubār huuñ

na davā-e-dard-e-jigar huuñ maiñ na kisī kī mīThī nazar huuñ maiñ

na idhar huuñ maiñ na udhar huuñ maiñ na shakeb huuñ na qarār huuñ

mirā vaqt mujh se bichhaḌ gayā mirā rañg-rūp bigaḌ gayā

jo ḳhizāñ se baaġh ujaḌ gayā maiñ usī kī fasl-e-bahār huuñ

pa.e fātiha koī aa.e kyuuñ koī chaar phuul chaḌhā.e kyuuñ

koī aa ke sham’ jalā.e kyuuñ maiñ vo bekasī kā mazār huuñ

na maiñ laag huuñ na lagāv huuñ na suhāg huuñ na subhāv huuñ

jo bigaḌ gayā vo banāv huuñ jo nahīñ rahā vo siñgār huuñ

maiñ nahīñ huuñ naġhma-e-jāñ-fazā mujhe sun ke koī karegā kyā

maiñ baḌe birog kī huuñ sadā maiñ baḌe dukhī kī pukār huuñ
na maiñ ‘muztar’ un kā habīb huuñ na maiñ ‘muztar’ un kā raqīb huuñ

jo bigaḌ gayā vo nasīb huuñ jo ujaḌ gayā vo dayār huuñ

Leave a Comment