patta patta buTa buTa haal hamara jaane hai
MEER TAQI MEER
Film: Ek Nazar (1972)
pattā pattā buuTā buuTā haal hamārā jaane hai
jaane na jaane gul hī na jaane baaġh to saarā jaane hai
lagne na de bas ho to us ke gauhar-e-gosh ko baale tak
us ko falak chashm-e-mah-o-ḳhur kī putlī kā taarā jaane hai
aage us mutakabbir ke ham ḳhudā ḳhudā kiyā karte haiñ
kab maujūd ḳhudā ko vo maġhrūr-e-ḳhud-ārā jaane hai
āshiq sā to saada koī aur na hogā duniyā meñ
jī ke ziyāñ ko ishq meñ us ke apnā vaarā jaane hai
chāragarī bīmāri-e-dil kī rasm-e-shahr-e-husn nahīñ
varna dilbar-e-nādāñ bhī is dard kā chāra jaane hai
kyā hī shikār-farebī par maġhrūr hai vo sayyād bacha
taa.ir uḌte havā meñ saare apne asārā jaane hai
mehr o vafā o lutf-o-ināyat ek se vāqif in meñ nahīñ
aur to sab kuchh tanz o kināya ramz o ishāra jaane hai
kyā kyā fitne sar par us ke laatā hai māshūq apnā
jis be-dil be-tāb-o-tavāñ ko ishq kā maarā jaane hai
raḳhnoñ se dīvār-e-chaman ke muñh ko le hai chhupā yā’nī
in sūrāḳhoñ ke Tuk rahne ko sau kā nazāra jaane hai
tishna-e-ḳhūñ hai apnā kitnā ‘mīr’ bhī nādāñ talḳhī-kash
dam-dār āb-e-teġh ko us ke āb-e-gavārā jaane hai