ulTi ho gain sab tadbiren kuchh na dawa ne kaam kiya Translated By: Rekhta  MEER TAQI MEER    
ulTi ho gain sab tadbiren kuchh na dawa ne kaam kiya Translated By: Rekhta MEER TAQI MEER    

ulTi ho gain sab tadbiren kuchh na dawa ne kaam kiya Translated By: Rekhta MEER TAQI MEER    

ulTi ho gain sab tadbiren kuchh na dawa ne kaam kiya
Translated By: Rekhta

MEER TAQI MEER
 
 

ulTī ho ga.iiñ sab tadbīreñ kuchh na davā ne kaam kiyā

dekhā is bīmāri-e-dil ne āḳhir kaam tamām kiyā

ahd-e-javānī ro ro kaaTā piirī meñ liiñ āñkheñ muuñd

ya.anī raat bahut the jaage sub.h huī ārām kiyā

harf nahīñ jāñ-baḳhshī meñ us kī ḳhūbī apnī qismat kī

ham se jo pahle kah bhejā so marne kā paiġhām kiyā

nāhaq ham majbūroñ par ye tohmat hai muḳhtārī kī

chāhte haiñ so aap kareñ haiñ ham ko abas badnām kiyā

saare rind aubāsh jahāñ ke tujh se sujūd meñ rahte haiñ

bāñke TeḌhe tirchhe tīkhe sab kā tujh ko imaam kiyā

sarzad ham se be-adabī to vahshat meñ bhī kam hī huī

kosoñ us kī or ga.e par sajda har har gaam kiyā

kis kā ka.aba kaisā qibla kaun haram hai kyā ehrām

kūche ke us ke bāshindoñ ne sab ko yahīñ se salām kiyā

shaiḳh jo hai masjid meñ nañgā raat ko thā mai-ḳhāne meñ

jubba ḳhirqa kurtā Topī mastī meñ in.aam kiyā

kaash ab burqa muñh se uThā de varna phir kyā hāsil hai

aañkh muñde par un ne go dīdār ko apne aam kiyā

yaañ ke sapīd o siyah meñ ham ko daḳhl jo hai so itnā hai

raat ko ro ro sub.h kiyā yā din ko juuñ tuuñ shaam kiyā

sub.h chaman meñ us ko kahīñ taklīf-e-havā le aa.ī thī

ruḳh se gul ko mol liyā qāmat se sarv ġhulām kiyā

sā.ad-e-sīmīñ donoñ us ke haath meñ lā kar chhoḌ diye

bhūle us ke qaul-o-qasam par haa.e ḳhayāl-e-ḳhām kiyā

kaam hue haiñ saare zaa.e.a har saa.at kī samājat se

istiġhnā kī chaugunī un ne juuñ juuñ maiñ ibrām kiyā

aise āhu-e-ram-ḳhurda kī vahshat khonī mushkil thī

sehr kiyā e.ajāz kiyā jin logoñ ne tujh ko raam kiyā

‘mīr’ ke dīn-o-maz.hab ko ab pūchhte kyā ho un ne to

qashqa khīñchā dair meñ baiThā kab kā tark islām kiyā

Leave a Reply