garmi-e-hasrat-e-nakaam se jal jate hain
QATEEL SHIFAI
garmī-e-hasrat-e-nākām se jal jaate haiñ
ham charāġhoñ kī tarah shaam se jal jaate haiñ
sham.a jis aag meñ jaltī hai numā.ish ke liye
ham usī aag meñ gumnām se jal jaate haiñ
bach nikalte haiñ agar ātish-e-sayyāl se ham
shola-e-āriz-e-gulfām se jal jaate haiñ
ḳhud-numā.ī to nahīñ sheva-e-arbāb-e-vafā
jin ko jalnā ho vo ārām se jal jaate haiñ
rabt-e-bāham pe hameñ kyā na kaheñge dushman
āshnā jab tire paiġhām se jal jaate haiñ
jab bhī aatā hai mirā naam tire naam ke saath
jaane kyuuñ log mire naam se jal jaate haiñ