kaun aaega yahan koi na aaya hoga
KAIF BHOPALI
kaun aa.egā yahāñ koī na aayā hogā
merā darvāza havāoñ ne hilāyā hogā
dil-e-nādāñ na dhaḌak ai dil-e-nādāñ na dhaḌak
koī ḳhat le ke paḌosī ke ghar aayā hogā
is gulistāñ kī yahī riit hai ai shāḳh-e-gul
tū ne jis phuul ko paalā vo parāyā hogā
dil kī qismat hī meñ likkhā thā añdherā shāyad
varna masjid kā diyā kis ne bujhāyā hogā
gul se lipTī huī titlī ko girā kar dekho
āñdhiyo tum ne daraḳhtoñ ko girāyā hogā
khelne ke liye bachche nikal aa.e hoñge
chāñd ab us kī galī meñ utar aayā hogā
‘kaif’ pardes meñ mat yaad karo apnā makāñ
ab ke bārish ne use toḌ girāyā hogā