marne ki duaen kyun mangun jine ki tamanna kaun kare
MOIN AHSAN JAZBI
marne kī duā.eñ kyuuñ māñgūñ jiine kī tamannā kaun kare
ye duniyā ho yā vo duniyā ab ḳhvāhish-e-duniyā kaun kare
jab kashtī sābit-o-sālim thī sāhil kī tamannā kis ko thī
ab aisī shikasta kashtī par sāhil kī tamannā kaun kare
jo aag lagā.ī thī tum ne us ko to bujhāyā ashkoñ ne
jo ashkoñ ne bhaḌkā.ī hai us aag ko ThanDā kaun kare
duniyā ne hameñ chhoḌā ‘jazbī’ ham chhoḌ na deñ kyuuñ duniyā ko
duniyā ko samajh kar baiThe haiñ ab duniyā duniyā kaun kare