Main geet tumhare gaata

Jahaan jahaan main jaata Sai
geet tumhare gaata, geet tumhare gaata

mere man mandir mein Sai tumne jyot jagayi
beech bhanwar uljhi naiiya tumne paar lagayi
is duniya ke dukhiyaaron se tumne joda naata
main geet tumhare gaata
jahaan jahaan main jaata Sai
geet tumhare gaata, geet tumhare gaata

Sai mere tum na hote deta kaun sahara
is duniya ki dagar dagar par phirta mara
jisko kismat thukara de tu uske bhaag jagata
main geet tumhare gaata
jahaan jahaan main jaata Sai
geet tumhare gaata, geet tumhare gaata

Mazjid mandir gurudware mein Sai tumhi samaye
gangajal aur aabe zam zam tumne ek banaye
meri binti sun lo Baba kab se tumhe bulaata
main geet tumhare gaata
jahaan jahaan main jaata Sai
geet tumhare gaata, geet tumhare gaata

Leave a Reply