Poocho tau mujhse

Poocho tau mujhse main kya chahta hoon
Sai ke charnon mein rehna chahta hoon

Sai ke charnon mein dhuni ramaun
Sai ki bhakti ke gun main gaun
iske siwa nahin dua chahta hoon

Poocho tau mujhse main kya chahta hoon
Sai ke charnon mein rehna chahta hoon

Shirdi nagariya ki pawan hawaein
Sai ke charnon ko chu ke jo aaye
Sai ki main kripa chahta hoon

Poocho tau mujhse main kya chahta hoon
Sai ke charnon mein rehna chahta hoon

Dwarika mai mein dhera jamalun
Sai bhabhuti ko maathe lagalun
Bhakti ki pal wo sada chahta hoon

Poocho tau mujhse main kya chahta hoon
Sai ke charnon mein rehna chahta hoon

Jahaan sirf hoti ho Sai ki baatein
Bhakti mein guzre din aur raatein
Main ik aisa jahaan chahta hoon

Poocho tau mujhse main kya chahta hoon
Sai ke charnon mein rehna chahta hoon

Leave a Reply