Sai mein sangeet samaye

Sai mein sangeet samaye
Saat suron ka bhed bataye

Sa mein Sai sansaar basa hai
Re mein Ram ka pyaar basa hai
pyaar hi meet ke geet sunaye
saat suron ka bhed bataye
Sai mein sangeet samaye

Ga se hai giridhari darshan
Ma se man ka saaf ho darpan
darpan Sai teri chavi dikhlaye
saat suron ka bhed bataye
Sai mein sangeet samaye

Pa se pooja kare poojari
Dha se dharam hai poonji saari
dharam hi antim kaam mein aaye
saat suron ka bhed bataye
Sai mein sangeet samaye

Nii se nainon mein nandlala
ye hai Sai tera kaam nirala
tune kya kya roop dikhaaye
saat suron ka bhed bataye
Sai mein sangeet samaye

Leave a Reply