Woh Phool Na Ab Tak Chunn Paayaa

Woh phool na ab tak chunn paayaa
Jo phool chadhaane hain tujhpar
Main tera dwaar na dhoond sakaa Sai
Bhatak rahaa hoon dagar dagar ….

Mujh mein hi dosh raha hoga
Mann tujhko apran kar na saka
To mujh ko dekh raha kabse
Mein tera darshan kar na saka
Har din har pal chalta rehta
Sangram kahi mann ke bhitar
Main tera dwaar na dhoond sakaa Sai
Bhatak rahaa hoon dagar dagar
Woh phool na ab tak chunn paayaa
Jo phool chadhaane hain tujhpar ….

Kya dukh kya sukh sab bhool meri
Main uljha hoon in baaton mein
Dil khoyaa chandi-sonay mein
Soyaa main besudh raaton mein
Tab dhyaan kiyaa maine tera
Takraayaa pag se jab patthar
Main tera dwaar na dhoond saka Sai
Bhatak rahaa hoon dagar dagar
Woh phool na ab tak chunn paayaa
Jo phool chadhaane hain tujhpar …..

Mein dhoop chhavn ke beech kahi
Maati ke tan ko liye fira
Us jagah mujhe thama tune
Mein bhoole se jis jagah gira
Aab tu hi path dikhla mujhko
Aadiyo se hunn ghar se beghar
Main tera dwaar na dhoond saka Sai
Bhatak rahaa hoon dagar dagar
Woh phool na ab tak chunn paayaa
Jo phool chadhaane hain tujhpar …..

Woh phool na ab tak chunn paayaa
Jo phool chadhaane hain tujhpar …..
Woh phool na ab tak chunn paayaa
Jo phool chadhaane hain tujhpar …..

Leave a Reply