Balaji Ke Jo Gun Gaaye
Vo Jee Bhar Ke Har Sukh Paye
Bala Ke Charna Jo Thaame Rahe
Vo Bhav Se Paar Utar Jaye
Kuchh Door Nahi Hai Bala Ka Dar
Fir Kaisi Majboori Hai
Apne Bala To Bhav Ke Bhookhe
Shraddha Hi Jaroori Hai
Usske Balaji Ho Jaye
Jo Balaji Ka Hokar Aaye
Balaji Ke Jo Gun Gaaye
Vo Jee Bhar Ke Har Sukh Paye
Bala Shankar Ke Ansh Gyahrve
Khud Bhi Bhole Bhaale Hai
Nachahe Kabhi Badayi Apni
Bhakto Ke Rakhwale Hai
Unka Man Pawan Ho jaye
Jiske Man Balaji Bhaye
Balaji Ke Jo Gun Gaaye
Vo Jee Bhar Ke Har Sukh Paye
Sankat Mochan Hai Bajrangi
Har Bhakt Ki Peera harte Hai
Jo Balaji Ki Sharan Mein Ho
Usse To Bhoot Bhi Darte Hai
Tujhe Dar Kaisa Chinta Kaisi
Man Kyo Na Ab Tu Harshaye
Balaji Ke Jo Gun Gaaye
Vo Jee Bhar Ke Har Sukh Paye
Iss Kaliyug Mein Avatarit Hue
Ghata Mein Balaji Hanuman
Ab Chhod Bhatakna Murakh Man
Bala Ko Bhav Se Apna Maan
Hai Dhara Pe Dev Yahi Sancha
Ye Waqt Ki Dhara Samjhaye
Balaji Ke Jo Gun Gaaye
Vo Jee Bhar Ke Har Sukh Paye
Balaji Ke Jo Thaame Rahe
Vo Bhav Se Paar Utar Jaye