aae kuchh abr kuchh sharab aae
FAIZ AHMAD FAIZ
aa.e kuchh abr kuchh sharāb aa.e
is ke ba.ad aa.e jo azaab aa.e
bām-e-mīnā se māhtāb utre
dast-e-sāqī meñ āftāb aa.e
har rag-e-ḳhūñ meñ phir charāġhāñ ho
sāmne phir vo be-naqāb aa.e
umr ke har varaq pe dil kī nazar
terī mehr-o-vafā ke baab aa.e
kar rahā thā ġham-e-jahāñ kā hisāb
aaj tum yaad be-hisāb aa.e
na ga.ī tere ġham kī sardārī
dil meñ yuuñ roz inqalāb aa.e
jal uThe bazm-e-ġhair ke dar-o-bām
jab bhī ham ḳhānumāñ-ḳharāb aa.e
is tarah apnī ḳhāmushī gūñjī
goyā har samt se javāb aa.e
‘faiz’ thī raah sar-ba-sar manzil
ham jahāñ pahuñche kāmyāb aa.e