aah ko chahiye ek umr asar hote tak MIRZA GHALIB  

aah ko chahiye ek umr asar hote tak
MIRZA GHALIB

 
aah ko chāhiye ik umr asar hote tak

kaun jiitā hai tirī zulf ke sar hote tak

 

dām-e-har-mauj meñ hai halqa-e-sad-kām-e-nahañg

dekheñ kyā guzre hai qatre pe guhar hote tak

āshiqī sabr-talab aur tamannā betāb

dil kā kyā rañg karūñ ḳhūn-e-jigar hote tak

tā-qayāmat shab-e-furqat meñ guzar jā.egī umr

saat din ham pe bhī bhārī haiñ sahar hote tak

ham ne maanā ki taġhāful na karoge lekin

ḳhaak ho jā.eñge ham tum ko ḳhabar hote tak

partav-e-ḳhur se hai shabnam ko fanā kī ta.alīm

maiñ bhī huuñ ek ināyat kī nazar hote tak

yak nazar besh nahīñ fursat-e-hastī ġhāfil

garmī-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hote tak

ġham-e-hastī kā ‘asad’ kis se ho juz marg ilaaj

sham.a har rañg meñ jaltī hai sahar hote tak

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Exit mobile version