aankhon se haya Tapke hai andaz to dekho
MOMIN KHAN MOMIN
āñkhoñ se hayā Tapke hai andāz to dekho
hai bul-havasoñ par bhī sitam naaz to dekho
us but ke liye maiñ havas-e-hūr se guzrā
is ishq-e-ḳhush-anjām kā āġhāz to dekho
chashmak mirī vahshat pe hai kyā hazrat-e-nāseh
tarz-e-nigah-e-chashm-e-fusūñ-sāz to dekho
arbāb-e-havas haar ke bhī jaan pe khele
kam-tāla.i-e-āshiq-e-jāñ-bāz to dekho
majlis meñ mire zikr ke aate hī uThe vo
badnāmi-e-ushshāq kā e.azāz to dekho
mahfil meñ tum aġhyār ko duz-dīda nazar se
manzūr hai pinhāñ na rahe raaz to dekho
us ġhairat-e-nāhīd kī har taan hai dīpak
sho.ala sā lapak jaa.e hai āvāz to dekho
deñ pāki-e-dāman kī gavāhī mire aañsū
us yūsuf-e-bedard kā e.ajāz to dekho
jannat meñ bhī ‘momin’ na milā haa.e butoñ se
jaur-e-ajal-e-tafraqa-pardāz to dekho