ab to ghabra ke ye kahte hain ki mar jaenge SHAIKH IBRAHIM ZAUQ    
ab to ghabra ke ye kahte hain ki mar jaenge SHAIKH IBRAHIM ZAUQ    

ab to ghabra ke ye kahte hain ki mar jaenge SHAIKH IBRAHIM ZAUQ    

ab to ghabra ke ye kahte hain ki mar jaenge
SHAIKH IBRAHIM ZAUQ
 
 

ab to ghabrā ke ye kahte haiñ ki mar jā.eñge

mar ke bhī chain na paayā to kidhar jā.eñge

tum ne Thahrā.ī agar ġhair ke ghar jaane kī

to irāde yahāñ kuchh aur Thahar jā.eñge

ḳhālī ai chāragaro hoñge bahut marham-dāñ

par mire zaḳhm nahīñ aise ki bhar jā.eñge

pahuñcheñge rahguzar-e-yār talak kyuuñ kar ham

pahle jab tak na do aalam se guzar jā.eñge

sho.ala-e-āh ko bijlī kī tarah chamkā.ūñ

par mujhe Dar hai ki vo dekh ke Dar jā.eñge

ham nahīñ vo jo kareñ ḳhuun kā da.avā tujh par

balki pūchhegā ḳhudā bhī to mukar jā.eñge

aag dozaḳh kī bhī ho jā.egī paanī paanī

jab ye aasī araq-e-sharm se tar jā.eñge

nahīñ pā.egā nishāñ koī hamārā hargiz

ham jahāñ se ravish-e-tīr-e-nazar jā.eñge

sāmne chashm-e-guhar-bār ke kah do dariyā

chaḌh ke gar aa.e to nazroñ se utar jā.eñge

laa.e jo mast haiñ turbat pe gulābī āñkheñ

aur agar kuchh nahīñ do phuul to dhar jā.eñge

ruḳh-e-raushan se naqāb apne ulaT dekho tum

mehr-o-mah nazroñ se yāroñ kī utar jā.eñge

ham bhī dekheñge koī ahl-e-nazar hai ki nahīñ

yaañ se jab ham ravish-e-tīr-e-nazar jā.eñge

‘zauq’ jo madrase ke bigḌe hue haiñ mullā

un ko mai-ḳhāne meñ le aao sañvar jā.eñge

Leave a Reply