angDai bhi wo lene na pae uTha ke hath NIZAM RAMPURI    

angDai bhi wo lene na pae uTha ke hath
NIZAM RAMPURI
 
 

añgḌā.ī bhī vo lene na paa.e uThā ke haath

dekhā jo mujh ko chhoḌ diye muskurā ke haath

be-sāḳhta nigāheñ jo aapas meñ mil ga.iiñ

kyā muñh par us ne rakh liye āñkheñ churā ke haath

ye bhī nayā sitam hai hinā to lagā.eñ ġhair

aur us kī daad chāheñ vo mujh ko dikhā ke haath

be-iḳhtiyār ho ke jo maiñ paañv par girā

ThoḌī ke nīche us ne dharā muskurā ke haath

gar dil ko bas meñ paa.eñ to nāseh tirī suneñ

apnī to marg-o-zīst hai us bevafā ke haath

vo zānūoñ meñ siina chhupānā simaT ke haa.e

aur phir sambhālnā vo dupaTTa chhuḌā ke haath

qāsid tire bayāñ se dil aisā Thahar gayā

goyā kisī ne rakh diyā siine pe aa ke haath

ai dil kuchh aur baat kī raġhbat na de mujhe

sunñī paḌeñgī saikḌoñ us ko lagā ke haath

vo kuchh kisī kā kah ke satānā sadā mujhe

vo khīñch lenā parde se apnā dikhā ke haath

dekhā jo kuchh rukā mujhe to kis tapāk se

gardan meñ merī Daal diye aap aa ke haath

phir kyuuñ na chaak ho jo haiñ zor-āzmā.iyāñ

bāñdhūñgā phir dupaTTa se us be-ḳhatā ke haath

kūche se tere uTTheñ to phir jaa.eñ ham kahāñ

baiThe haiñ yaañ to donoñ jahāñ se uThā ke haath

pahchānā phir to kyā hī nadāmat huī unheñ

panDit samajh ke mujh ko aur apnā dikhā ke haath

denā vo us kā sāġhar-e-mai yaad hai ‘nizām’

muñh pher kar udhar ko idhar ko baḌhā ke haath

Leave a Comment