apni dhun mein rahta hun NASIR KAZMI  

apni dhun mein rahta hun
NASIR KAZMI
 

apnī dhun meñ rahtā huuñ

maiñ bhī tere jaisā huuñ
o pichhlī rut ke sāthī

ab ke baras maiñ tanhā huuñ
terī galī meñ saarā din

dukh ke kankar chuntā huuñ
mujh se aañkh milā.e kaun

maiñ terā ā.īna huuñ
merā diyā jalā.e kaun

maiñ tirā ḳhālī kamra huuñ
tere sivā mujhe pahne kaun

maiñ tire tan kā kapḌā huuñ
tū jīvan kī bharī galī

maiñ jañgal kā rasta huuñ
aatī rut mujhe ro.egī

jaatī rut kā jhoñkā huuñ
apnī lahr hai apnā rog

dariyā huuñ aur pyāsā huuñ

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Exit mobile version