ashaar mere yun to zamane ke liye hain
JAN NISAR AKHTAR
ash.ār mire yuuñ to zamāne ke liye haiñ
kuchh sher faqat un ko sunāne ke liye haiñ
ab ye bhī nahīñ Thiik ki har dard miTā deñ
kuchh dard kaleje se lagāne ke liye haiñ
socho to baḌī chiiz hai tahzīb badan kī
varna ye faqat aag bujhāne ke liye haiñ
āñkhoñ meñ jo bhar loge to kāñToñ se chubheñge
ye ḳhvāb to palkoñ pe sajāne ke liye haiñ
dekhūñ tire hāthoñ ko to lagtā hai tire haath
mandir meñ faqat diip jalāne ke liye haiñ
ye ilm kā saudā ye risāle ye kitābeñ
ik shaḳhs kī yādoñ ko bhulāne ke liye haiñ