baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
BAHADUR SHAH ZAFAR
baat karnī mujhe mushkil kabhī aisī to na thī
jaisī ab hai tirī mahfil kabhī aisī to na thī
le gayā chhīn ke kaun aaj tirā sabr o qarār
be-qarārī tujhe ai dil kabhī aisī to na thī
us kī āñkhoñ ne ḳhudā jaane kiyā kyā jaadū
ki tabī.at mirī maa.il kabhī aisī to na thī
aks-e-ruḳhsār ne kis ke hai tujhe chamkāyā
taab tujh meñ mah-e-kāmil kabhī aisī to na thī
ab kī jo rāh-e-mohabbat meñ uThā.ī taklīf
saḳht hotī hameñ manzil kabhī aisī to na thī
pā-e-kūbāñ koī zindāñ meñ nayā hai majnūñ
aatī āvāz-e-salāsil kabhī aisī to na thī
nigah-e-yār ko ab kyuuñ hai taġhāful ai dil
vo tire haal se ġhāfil kabhī aisī to na thī
chashm-e-qātil mirī dushman thī hamesha lekin
jaisī ab ho ga.ī qātil kabhī aisī to na thī
kyā sabab tū jo bigaḌtā hai ‘zafar’ se har baar
ḳhū tirī hūr-shamā.il kabhī aisī to na thī