bas-ki dushwar hai har kaam ka aasan hona MIRZA GHALIB    

bas-ki dushwar hai har kaam ka aasan hona
MIRZA GHALIB
 
 

bas-ki dushvār hai har kaam kā āsāñ honā

aadmī ko bhī muyassar nahīñ insāñ honā

girya chāhe hai ḳharābī mire kāshāne kī

dar o dīvār se Tapke hai bayābāñ honā

vā.e-dīvāngī-e-shauq ki har dam mujh ko

aap jaanā udhar aur aap hī hairāñ honā

jalva az-bas-ki taqāzā-e-nigah kartā hai

jauhar-e-ā.ina bhī chāhe hai mizhgāñ honā

ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamannā mat pūchh

īd-e-nazzāra hai shamshīr kā uryāñ honā

le ga.e ḳhaak meñ ham dāġh-e-tamannā-e-nashāt

tū ho aur aap ba-sad-rañg-e-gulistāñ honā

ishrat-e-pāra-e-dil zaḳhm-e-tamannā khānā

lazzat-e-rīsh-e-jigar ġharq-e-namak-dāñ honā

kī mire qatl ke baa’d us ne jafā se tauba

haa.e us zūd-pashemāñ kā pashemāñ honā

haif us chaar girah kapḌe kī qismat ‘ġhālib’

jis kī qismat meñ ho āshiq kā garebāñ honā

Leave a Comment