chalne ka hausla nahin rukna muhaal kar diya
PARVEEN SHAKIR
chalne kā hausla nahīñ ruknā muhāl kar diyā
ishq ke is safar ne to mujh ko niDhāl kar diyā
ai mirī gul-zamīñ tujhe chaah thī ik kitāb kī
ahl-e-kitāb ne magar kyā tirā haal kar diyā
milte hue diloñ ke biich aur thā faisla koī
us ne magar bichhaḌte vaqt aur savāl kar diyā
ab ke havā ke saath hai dāman-e-yār muntazir
bānu-e-shab ke haath meñ rakhnā sambhāl kar diyā
mumkina faisloñ meñ ek hijr kā faisla bhī thā
ham ne to ek baat kī us ne kamāl kar diyā
mere laboñ pe mohr thī par mere shīsha-rū ne to
shahr ke shahr ko mirā vāqif-e-hāl kar diyā
chehra o naam ek saath aaj na yaad aa sake
vaqt ne kis shabīh ko ḳhvāb o ḳhayāl kar diyā
muddatoñ ba.ad us ne aaj mujh se koī gila kiyā
mansab-e-dilbarī pe kyā mujh ko bahāl kar diyā