daman mein aansuon ka zaKHira na kar abhi SAQI FARUQI  

daman mein aansuon ka zaKHira na kar abhi
SAQI FARUQI
 

dāman meñ āñsuoñ kā zaḳhīra na kar abhī

ye sabr kā maqām hai girya na kar abhī
jis kī saḳhāvatoñ kī zamāne meñ dhuum hai

vo haath so gayā hai taqāzā na kar abhī
nazreñ jalā ke dekh manāzir kī aag meñ

asrār-e-kā.enāt se parda na kar abhī
ye ḳhāmushī kā zahr nasoñ meñ utar na jaa.e

āvāz kī shikast gavārā na kar abhī
duniyā pe apne ilm kī parchhā.iyāñ na Daal

ai raushnī-farosh añdherā na kar abhī

Leave a Comment