dekh to dil ki jaan se uThta hai MEER TAQI MEER    

dekh to dil ki jaan se uThta hai
MEER TAQI MEER
 
 

dekh to dil ki jaañ se uThtā hai

ye dhuāñ sā kahāñ se uThtā hai

gor kis diljale kī hai ye falak

shola ik sub.h yaañ se uThtā hai

ḳhāna-e-dil se zīnhār na jā

koī aise makāñ se uThtā hai

naala sar khīñchtā hai jab merā

shor ik āsmāñ se uThtā hai

laḌtī hai us kī chashm-e-shoḳh jahāñ

ek āshob vaañ se uThtā hai

sudh le ghar kī bhī shola-e-āvāz

duud kuchh āshiyāñ se uThtā hai

baiThne kaun de hai phir us ko

jo tire āstāñ se uThtā hai

yuuñ uThe aah us galī se ham

jaise koī jahāñ se uThtā hai

ishq ik ‘mīr’ bhārī patthar hai

kab ye tujh nā-tavāñ se uThtā hai

Leave a Comment