der lagi aane mein tumko shukr hai phir bhi aae to
ANDALEEB SHADANI
der lagī aane meñ tum ko shukr hai phir bhī aa.e to
aas ne dil kā saath na chhoḌā vaise ham ghabrā.e to
shafaq dhanak mahtāb ghaTā.eñ taare naġhme bijlī phuul
is dāman meñ kyā kyā kuchh hai dāman haath meñ aa.e to
chāhat ke badle meñ ham to bech deñ apnī marzī tak
koī mile to dil kā gāhak koī hameñ apnā.e to
kyuuñ ye mehr-añgez tabassum madd-e-nazar jab kuchh bhī nahīñ
haa.e koī anjān agar is dhoke meñ aa jaa.e to
sunī-sunā.ī baat nahīñ ye apne uupar biitī hai
phuul nikalte haiñ sho.aloñ se chāhat aag lagā.e to
jhuuT hai sab tārīḳh hamesha apne ko dohrātī hai
achchhā merā ḳhvāb-e-javānī thoḌā sā dohrā.e to
nādānī aur majbūrī meñ yaaro kuchh to farq karo
ik be-bas insān kare kyā TuuT ke dil aa jaa.e to