dil hi to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aae kyun
MIRZA GHALIB
dil hī to hai na sang-o-ḳhisht dard se bhar na aa.e kyuuñ
ro.eñge ham hazār baar koī hameñ satā.e kyuuñ
dair nahīñ haram nahīñ dar nahīñ āstāñ nahīñ
baiThe haiñ rahguzar pe ham ġhair hameñ uThā.e kyuuñ
jab vo jamāl-e-dil-faroz sūrat-e-mehr-e-nīm-roz
aap hī ho nazāra-soz parde meñ muñh chhupā.e kyuuñ
dashna-e-ġhamza jāñ-sitāñ nāvak-e-nāz be-panāh
terā hī aks-e-ruḳh sahī sāmne tere aa.e kyuuñ
qaid-e-hayāt o band-e-ġham asl meñ donoñ ek haiñ
maut se pahle aadmī ġham se najāt paa.e kyuuñ
husn aur us pe husn-e-zan rah ga.ī bul-havas kī sharm
apne pe e’timād hai ġhair ko āzmā.e kyuuñ
vaañ vo ġhurūr-e-izz-o-nāz yaañ ye hijāb-e-pās-e-vaza’
raah meñ ham mileñ kahāñ bazm meñ vo bulā.e kyuuñ
haañ vo nahīñ ḳhudā-parast jaao vo bevafā sahī
jis ko ho diin o dil aziiz us kī galī meñ jaa.e kyuuñ
‘ġhālib’-e-ḳhasta ke baġhair kaun se kaam band haiñ
roiye zaar zaar kyā kījiye haa.e haa.e kyuuñ