duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad
JIGAR MORADABADI
duniyā ke sitam yaad na apnī hī vafā yaad
ab mujh ko nahīñ kuchh bhī mohabbat ke sivā yaad
maiñ shikva ba-lab thā mujhe ye bhī na rahā yaad
shāyad ki mire bhūlne vaale ne kiyā yaad
chheḌā thā jise pahle-pahal terī nazar ne
ab tak hai vo ik naġhma-e-be-sāz-o-sadā yaad
jab koī hasīñ hotā hai sargarm-e-navāzish
us vaqt vo kuchh aur bhī aate haiñ sivā yaad
kyā jāniye kyā ho gayā arbāb-e-junūñ ko
marne kī adā yaad na jiine kī adā yaad
muddat huī ik hādsa-e-ishq ko lekin
ab tak hai tire dil ke dhaḌakne kī sadā yaad
haañ haañ tujhe kyā kaam mirī shiddat-e-ġham se
haañ haañ nahīñ mujh ko tire dāman kī havā yaad
maiñ tark-e-rah-o-rasm-e-junūñ kar hī chukā thā
kyuuñ aa ga.ī aise meñ tirī laġhzish-e-pā yaad
kyā lutf ki maiñ apnā pata aap batā.ūñ
kiije koī bhūlī huī ḳhaas apnī adā yaad