gesu-e-tabdar ko aur bhi tabdar kar
ALLAMA IQBAL
Baal-e-Gibril
gesū-e-tābdār ko aur bhī tābdār kar
hosh o ḳhirad shikār kar qalb o nazar shikār kar
ishq bhī ho hijāb meñ husn bhī ho hijāb meñ
yā to ḳhud āshkār ho yā mujhe āshkār kar
tū hai muhīt-e-be-karāñ maiñ huuñ zarā sī aabjū
yā mujhe ham-kanār kar yā mujhe be-kanār kar
maiñ huuñ sadaf to tere haath mere guhar kī aabrū
maiñ huuñ ḳhazaf to tū mujhe gauhar-e-shāhvār kar
naġhma-e-nau-bahār agar mere nasīb meñ na ho
us dam-e-nīm-soz ko tā.irak-e-bahār kar
bāġh-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diyā thā kyuuñ
kār-e-jahāñ darāz hai ab mirā intizār kar
roz-e-hisāb jab mirā pesh ho daftar-e-amal
aap bhī sharmsār ho mujh ko bhī sharmsār kar