go zara si baat par barson ke yarane gae
KHATIR GHAZNAVI
go zarā sī baat par barsoñ ke yārāne ga.e
lekin itnā to huā kuchh log pahchāne ga.e
garmi-e-mahfil faqat ik nāra-e-mastāna hai
aur vo ḳhush haiñ ki is mahfil se dīvāne ga.e
maiñ ise shohrat kahūñ yā apnī rusvā.ī kahūñ
mujh se pahle us galī meñ mere afsāne ga.e
vahshateñ kuchh is tarah apnā muqaddar ban ga.iiñ
ham jahāñ pahuñche hamāre saath vīrāne ga.e
yuuñ to vo merī rag-e-jāñ se bhī the nazdīk-tar
āñsuoñ kī dhund meñ lekin na pahchāne ga.e
ab bhī un yādoñ kī ḳhushbū zehn meñ mahfūz hai
bār-hā ham jin se gulzāroñ ko mahkāne ga.e
kyā qayāmat hai ki ‘ḳhātir’ kushta-e-shab the bhī ham
sub.h bhī aa.ī to mujrim ham hī gardāne ga.e