hai justuju ki KHub se hai KHub-tar kahan
ALTAF HUSSAIN HALI
hai justujū ki ḳhuub se hai ḳhūb-tar kahāñ
ab Thahratī hai dekhiye jā kar nazar kahāñ
haiñ daur-e-jām-e-avval-e-shab meñ ḳhudī se duur
hotī hai aaj dekhiye ham ko sahar kahāñ
yā rab is iḳhtilāt kā anjām ho ba-ḳhair
thā us ko ham se rabt magar is qadar kahāñ
ik umr chāhiye ki gavārā ho nīsh-e-ishq
rakkhī hai aaj lazzat-e-zaḳhm-e-jigar kahāñ
bas ho chukā bayāñ kasal-o-ranj-e-rāh kā
ḳhat kā mire javāb hai ai nāma-bar kahāñ
kaun o makāñ se hai dil-e-vahshī kanāra-gīr
is ḳhānumāñ-ḳharāb ne DhūñDā hai ghar kahāñ
ham jis pe mar rahe haiñ vo hai baat hī kuchh aur
aalam meñ tujh se laakh sahī tū magar kahāñ
hotī nahīñ qubūl duā tark-e-ishq kī
dil chāhtā na ho to zabāñ meñ asar kahāñ
‘hālī’ nashāt-e-naġhma-o-mai DhūñDhte ho ab
aa.e ho vaqt-e-sub.h rahe raat bhar kahāñ