hangama hai kyun barpa thoDi si jo pi li hai
AKBAR ALLAHABADI
hangāma hai kyuuñ barpā thoḌī sī jo pī lī hai
Daakā to nahīñ maarā chorī to nahīñ kī hai
nā-tajraba-kārī se vaa.iz kī ye haiñ bāteñ
is rang ko kyā jaane pūchho to kabhī pī hai
us mai se nahīñ matlab dil jis se hai begāna
maqsūd hai us mai se dil hī meñ jo khiñchtī hai
ai shauq vahī mai pī ai hosh zarā so jā
mehmān-e-nazar is dam ik barq-e-tajallī hai
vaañ dil meñ ki sadme do yaañ jī meñ ki sab sah lo
un kā bhī ajab dil hai merā bhī ajab jī hai
har zarra chamaktā hai anvār-e-ilāhī se
har saañs ye kahtī hai ham haiñ to ḳhudā bhī hai
sūraj meñ lage dhabbā fitrat ke karishme haiñ
but ham ko kaheñ kāfir allāh kī marzī hai
ta.alīm kā shor aisā tahzīb kā ġhul itnā
barkat jo nahīñ hotī niyyat kī ḳharābī hai
sach kahte haiñ shaiḳh ‘akbar’ hai tā.at-e-haq lāzim
haañ tark-e-mai-o-shāhid ye un kī buzurgī hai