hasti apni habab ki si hai
MEER TAQI MEER
hastī apnī habāb kī sī hai
ye numā.ish sarāb kī sī hai
nāzukī us ke lab kī kyā kahiye
pañkhuḌī ik gulāb kī sī hai
chashm-e-dil khol is bhī aalam par
yaañ kī auqāt ḳhvāb kī sī hai
baar baar us ke dar pe jaatā huuñ
hālat ab iztirāb kī sī hai
nuqta-e-ḳhāl se tirā abrū
bait ik intiḳhāb kī sī hai
maiñ jo bolā kahā ki ye āvāz
usī ḳhāna-ḳharāb kī sī hai
ātish-e-ġham meñ dil bhunā shāyad
der se bū kabāb kī sī hai
dekhiye abr kī tarah ab ke
merī chashm-e-pur-āb kī sī hai
‘mīr’ un nīm-bāz āñkhoñ meñ
saarī mastī sharāb kī sī hai