hum hain mata-e-kucha-o-bazar ki tarah
MAJROOH SULTANPURI
Film: Dastak 1970
ham haiñ mata-e-kūcha-o-bāzār kī tarah
uThtī hai har nigāh ḳharīdār kī tarah
is kū-e-tishnagī meñ bahut hai ki ek jaam
haath aa gayā hai daulat-e-bedār kī tarah
vo to kahīñ hai aur magar dil ke ās-pās
phirtī hai koī shai nigah-e-yār kī tarah
sīdhī hai rāh-e-shauq pe yūñhī kahīñ kahīñ
ḳham ho ga.ī hai gesū-e-dildār kī tarah
be-tesha-e-nazar na chalo rāh-e-raftagāñ
har naqsh-e-pā buland hai dīvār kī tarah
ab jā ke kuchh khulā hunar-e-nāḳhun-e-junūñ
zaḳhm-e-jigar hue lab-o-ruḳhsār kī tarah
‘majrūh’ likh rahe haiñ vo ahl-e-vafā kā naam
ham bhī khaḌe hue haiñ gunahgār kī tarah