hum ko junun kya sikhlate ho hum the pareshan tum se ziyaada
MAJROOH SULTANPURI
ham ko junūñ kyā sikhlāte ho ham the pareshāñ tum se ziyāda
chaak kiye haiñ ham ne azīzo chaar garebāñ tum se ziyāda
chāk-e-jigar mohtāj-e-rafū hai aaj to dāman sarf-e-lahū hai
ik mausam thā ham ko rahā hai shauq-e-bahārāñ tum se ziyāda
ahd-e-vafā yāroñ se nibhā.eñ nāz-e-harīfāñ hañs ke uThā.eñ
jab hameñ armāñ tum se sivā thā ab haiñ pashemāñ tum se ziyāda
ham bhī hamesha qatl hue aur tum ne bhī dekhā duur se lekin
ye na samajhnā ham ko huā hai jaan kā nuqsāñ tum se ziyāda
jaao tum apne baam kī ḳhātir saarī laveñ sham.oñ kī katar lo
zaḳhm ke mehr-o-māh salāmat jashn-e-charāġhāñ tum se ziyāda
dekh ke uljhan zulf-e-dotā kī kaise ulajh paḌte haiñ havā se
ham se sīkho ham ko hai yaaro fikr-e-nigārāñ tum se ziyāda
zanjīr o dīvār hī dekhī tum ne to ‘majrūh’ magar ham
kūcha kūcha dekh rahe haiñ ālam-e-zindāñ tum se ziyāda