kab mera nasheman ahl-e-chaman gulshan mein gawara karte hain
QAMAR JALALVI
kab merā nasheman ahl-e-chaman gulshan meñ gavārā karte haiñ
ġhunche apnī āvāzoñ meñ bijlī ko pukārā karte haiñ
ab naza.a kā aalam hai mujh par tum apnī mohabbat vāpas lo
jab kashtī Dūbne lagtī hai to bojh utārā karte haiñ
jaatī huī mayyat dekh ke bhī vallāh tum uTh ke aa na sake
do chaar qadam to dushman bhī taklīf gavārā karte haiñ
be-vajah na jaane kyuuñ zid hai un ko shab-e-furqat vāloñ se
vo raat baḌhā dene ke liye gesū ko sañvārā karte haiñ
poñchho na araq ruḳhsāroñ se rañgīnī-e-husn ko baḌhne do
sunte haiñ ki shabnam ke qatre phūloñ ko nikhārā karte haiñ
kuchh husn o ishq meñ farq nahīñ hai bhī to faqat rusvā.ī kā
tum ho ki gavārā kar na sake ham haiñ ki gavārā karte haiñ
tāroñ kī bahāroñ meñ bhī ‘qamar’ tum afsurda se rahte ho
phūloñ ko to dekho kāñToñ meñ hañs hañs ke guzārā karte haiñ