KHayal-o-KHwab hui hain mohabbaten kaisi
OBAIDULLAH ALEEM
ḳhayāl-o-ḳhvāb huī haiñ mohabbateñ kaisī
lahū meñ naach rahī haiñ ye vahshateñ kaisī
na shab ko chāñd hī achchhā na din ko mehr achchhā
ye ham pe biit rahī haiñ qayāmateñ kaisī
vo saath thā to ḳhudā bhī thā mehrbāñ kyā kyā
bichhaḌ gayā to huī haiñ adāvateñ kaisī
azaab jin kā tabassum savāb jin kī nigāh
khiñchī huī haiñ pas-e-jāñ ye sūrateñ kaisī
havā ke dosh pe rakkhe hue charāġh haiñ ham
jo bujh ga.e to havā se shikāyateñ kaisī
jo be-ḳhabar koī guzrā to ye sadā de dī
maiñ sañg-e-rāh huuñ mujh par ināyateñ kaisī
nahīñ ki husn hī nairañgiyoñ meñ taaq nahīñ
junūñ bhī khel rahā hai siyāsateñ kaisī
na sāhbān-e-junūñ haiñ na ahl-e-kashf-o-kamāl
hamāre ahd meñ aa.iiñ kasāfateñ kaisī
jo abr hai vahī ab sañg-o-ḳhisht laatā hai
fazā ye ho to diloñ meñ nazākateñ kaisī
ye daur-e-be-hunarāñ hai bachā rakho ḳhud ko
yahāñ sadāqateñ kaisī karāmateñ kaisī