kisi aur gham mein itni KHalish-e-nihan nahin hai MUSTAFA ZAIDI    

kisi aur gham mein itni KHalish-e-nihan nahin hai
MUSTAFA ZAIDI
 
 

kisī aur ġham meñ itnī ḳhalish-e-nihāñ nahīñ hai

ġham-e-dil mire rafīqo ġham-e-rā.egāñ nahīñ hai
koī ham-nafas nahīñ hai koī rāz-dāñ nahīñ hai

faqat ek dil thā ab tak so vo mehrbāñ nahīñ hai
mirī ruuh kī haqīqat mire āñsuoñ se pūchho

mirā majlisī tabassum mirā tarjumāñ nahīñ hai
kisī zulf ko sadā do kisī aañkh ko pukāro

baḌī dhuup paḌ rahī hai koī sā.ebāñ nahīñ hai
inhīñ pattharoñ pe chal kar agar aa sako to aao

mire ghar ke rāste meñ koī kahkashāñ nahīñ hai

Leave a Comment