lai hayat aae qaza le chali chale
SHAIKH IBRAHIM ZAUQ
laa.ī hayāt aa.e qazā le chalī chale
apnī ḳhushī na aa.e na apnī ḳhushī chale
ho umr-e-ḳhizr bhī to ho ma.alūm vaqt-e-marg
ham kyā rahe yahāñ abhī aa.e abhī chale
ham se bhī is bisāt pe kam hoñge bad-qimār
jo chaal ham chale so nihāyat burī chale
behtar to hai yahī ki na duniyā se dil lage
par kyā kareñ jo kaam na be-dil-lagī chale
lailā kā naaqa dasht meñ tāsīr-e-ishq se
sun kar fuġhān-e-qais bajā-e-hudī chale
nāzāñ na ho ḳhirad pe jo honā hai ho vahī
dānish tirī na kuchh mirī dānish-varī chale
duniyā ne kis kā rāh-e-fanā meñ diyā hai saath
tum bhī chale chalo yūñhī jab tak chalī chale
jaate havā-e-shauq meñ haiñ is chaman se ‘zauq’
apnī balā se bād-e-sabā ab kabhī chale