le chala jaan meri ruTh ke jaana tera
DAGH DEHLVI
le chalā jaan mirī ruuTh ke jaanā terā
aise aane se to behtar thā na aanā terā
apne dil ko bhī batā.ūñ na Thikānā terā
sab ne jaanā jo patā ek ne jaanā terā
tū jo ai zulf pareshān rahā kartī hai
kis ke ujḌe hue dil meñ hai Thikānā terā
aarzū hī na rahī sub.h-e-vatan kī mujh ko
shām-e-ġhurbat hai ajab vaqt suhānā terā
ye samajh kar tujhe ai maut lagā rakkhā hai
kaam aatā hai bure vaqt meñ aanā terā
ai dil-e-shefta meñ aag lagāne vaale
rañg laayā hai ye lākhe kā jamānā terā
tū ḳhudā to nahīñ ai nāseh-e-nādāñ merā
kyā ḳhatā kī jo kahā maiñ ne na maanā terā
ranj kyā vasl-e-adū kā jo ta.alluq hī nahīñ
mujh ko vallāh hañsātā hai rulānā terā
ka.aba o dair meñ yā chashm-o-dil-e-āshiq meñ
inhīñ do-chār gharoñ meñ hai Thikānā terā
tark-e-ādat se mujhe niind nahīñ aane kī
kahīñ nīchā na ho ai gor sirhānā terā
maiñ jo kahtā huuñ uThā.e haiñ bahut ranj-e-firāq
vo ye kahte haiñ baḌā dil hai tavānā terā
bazm-e-dushman se tujhe kaun uThā saktā hai
ik qayāmat kā uThānā hai uThānā terā
apnī āñkhoñ meñ abhī kauñd ga.ī bijlī sī
ham na samjhe ki ye aanā hai ki jaanā terā
yuuñ to kyā aa.egā tū fart-e-nazākat se yahāñ
saḳht dushvār hai dhoke meñ bhī aanā terā
‘dāġh’ ko yuuñ vo miTāte haiñ ye farmāte haiñ
tū badal Daal huā naam purānā terā