mere ham-nafas mere ham-nawa mujhe dost ban ke dagha na de
SHAKEEL BADAYUNI
mere ham-nafas mere ham-navā mujhe dost ban ke daġhā na de
maiñ huuñ dard-e-ishq se jāñ-ba-lab mujhe zindagī kī duā na de
mere dāġh-e-dil se hai raushnī isī raushnī se hai zindagī
mujhe Dar hai ai mire chāra-gar ye charāġh tū hī bujhā na de
mujhe chhoḌ de mire haal par tirā kyā bharosa hai chāra-gar
ye tirī navāzish-e-muḳhtasar mirā dard aur baḌhā na de
merā azm itnā buland hai ki parā.e sho.aloñ kā Dar nahīñ
mujhe ḳhauf ātish-e-gul se hai ye kahīñ chaman ko jalā na de
vo uThe haiñ le ke ḳhum-o-subū are o ‘shakīl’ kahāñ hai tū
tirā jaam lene ko bazm meñ koī aur haath baḌhā na de