naya ek rishta paida kyun karen hum
JAUN ELIYA
nayā ik rishta paidā kyuuñ kareñ ham
bichhaḌnā hai to jhagḌā kyuuñ kareñ ham
ḳhamoshī se adā ho rasm-e-dūrī
koī hangāma barpā kyuuñ kareñ ham
ye kaafī hai ki ham dushman nahīñ haiñ
vafā-dārī kā da.avā kyuuñ kareñ ham
vafā iḳhlās qurbānī mohabbat
ab in lafzoñ kā pīchhā kyuuñ kareñ ham
sunā deñ ismat-e-mariyam kā qissa
par ab is baab ko vā kyoñ kareñ ham
zuleḳhā-e-azīzāñ baat ye hai
bhalā ghāTe kā saudā kyoñ kareñ ham
hamārī hī tamannā kyuuñ karo tum
tumhārī hī tamannā kyuuñ kareñ ham
kiyā thā ahd jab lamhoñ meñ ham ne
to saarī umr iifā kyuuñ kareñ ham
uThā kar kyoñ na pheñkeñ saarī chīzeñ
faqat kamroñ meñ Tahlā kyoñ kareñ ham
jo ik nasl-e-faromāya ko pahuñche
vo sarmāya ikaTThā kyoñ kareñ ham
nahīñ duniyā ko jab parvā hamārī
to phir duniyā kī parvā kyuuñ kareñ ham
barahna haiñ sar-e-bāzār to kyā
bhalā andhoñ se parda kyoñ kareñ ham
haiñ bāshinde usī bastī ke ham bhī
so ḳhud par bhī bharosā kyoñ kareñ ham
chabā leñ kyoñ na ḳhud hī apnā Dhāñcha
tumheñ rātib muhayyā kyoñ kareñ ham
paḌī rahne do insānoñ kī lāsheñ
zamīñ kā bojh halkā kyoñ kareñ ham
ye bastī hai musalmānoñ kī bastī
yahāñ kār-e-masīhā kyuuñ kareñ ham