rang pairahan ka KHushbu zulf lahrane ka nam
FAIZ AHMAD FAIZ
rañg pairāhan kā ḳhushbū zulf lahrāne kā naam
mausam-e-gul hai tumhāre baam par aane kā naam
dosto us chashm o lab kī kuchh kaho jis ke baġhair
gulsitāñ kī baat rañgīñ hai na mai-ḳhāne kā naam
phir nazar meñ phuul mahke dil meñ phir sham.eñ jalīñ
phir tasavvur ne liyā us bazm meñ jaane kā naam
dilbarī Thahrā zabān-e-ḳhalq khulvāne kā naam
ab nahīñ lete parī-rū zulf bikhrāne kā naam
ab kisī lailā ko bhī iqrār-e-mahbūbī nahīñ
in dinoñ badnām hai har ek dīvāne kā naam
mohtasib kī ḳhair ūñchā hai usī ke faiz se
rind kā saaqī kā mai kā ḳhum kā paimāne kā naam
ham se kahte haiñ chaman vaale ġharībān-e-chaman
tum koī achchhā sā rakh lo apne vīrāne kā naam
‘faiz’ un ko hai taqāzā-e-vafā ham se jinheñ
āshnā ke naam se pyārā hai begāne kā naam