ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
AHMAD FARAZ
ranjish hī sahī dil hī dukhāne ke liye aa
aa phir se mujhe chhoḌ ke jaane ke liye aa
kuchh to mire pindār-e-mohabbat kā bharam rakh
tū bhī to kabhī mujh ko manāne ke liye aa
pahle se marāsim na sahī phir bhī kabhī to
rasm-o-rah-e-duniyā hī nibhāne ke liye aa
kis kis ko batā.eñge judā.ī kā sabab ham
tū mujh se ḳhafā hai to zamāne ke liye aa
ik umr se huuñ lazzat-e-girya se bhī mahrūm
ai rāhat-e-jāñ mujh ko rulāne ke liye aa
ab tak dil-e-ḳhush-fahm ko tujh se haiñ umīdeñ
ye āḳhirī sham’eñ bhī bujhāne ke liye aa