sar mein sauda bhi nahin dil mein tamanna bhi nahin FIRAQ GORAKHPURI  

sar mein sauda bhi nahin dil mein tamanna bhi nahin
FIRAQ GORAKHPURI
 

sar meñ saudā bhī nahīñ dil meñ tamannā bhī nahīñ

lekin is tark-e-mohabbat kā bharosā bhī nahīñ
dil kī gintī na yagānoñ meñ na begānoñ meñ

lekin us jalva-gah-e-nāz se uThtā bhī nahīñ
mehrbānī ko mohabbat nahīñ kahte ai dost

aah ab mujh se tirī ranjish-e-bejā bhī nahīñ
ek muddat se tirī yaad bhī aa.ī na hameñ

aur ham bhuul ga.e hoñ tujhe aisā bhī nahīñ
aaj ġhaflat bhī un āñkhoñ meñ hai pahle se sivā

aaj hī ḳhātir-e-bīmār shakebā bhī nahīñ
baat ye hai ki sukūn-e-dil-e-vahshī kā maqām

kunj-e-zindāñ bhī nahīñ vus.at-e-sahrā bhī nahīñ
are sayyād hamīñ gul haiñ hamīñ bulbul haiñ

tū ne kuchh aah sunā bhī nahīñ dekhā bhī nahīñ
aah ye majma-e-ahbāb ye bazm-e-ḳhāmosh

aaj mahfil meñ ‘firāq’-e-suḳhan-ārā bhī nahīñ
ye bhī sach hai ki mohabbat pe nahīñ maiñ majbūr

ye bhī sach hai ki tirā husn kuchh aisā bhī nahīñ
yuuñ to hañgāme uThāte nahīñ dīvāna-e-ishq

magar ai dost kuchh aisoñ kā Thikānā bhī nahīñ
fitrat-e-husn to ma.alūm hai tujh ko hamdam

chāra hī kyā hai ba-juz sabr so hotā bhī nahīñ
muñh se ham apne burā to nahīñ kahte ki ‘firāq’

hai tirā dost magar aadmī achchhā bhī nahīñ

Leave a Comment